Monday, 28 January 2013

agni ki udaan


agni ki udaan baki hai,
kuchh parindo ki pehchaan baki hai,
abhi to humne udne ki shuruwat ki hai,
abhi to saara aasmaan baki hai!

mrig kalpana bhang kare wo,
jo sochte hain, ki hainn shikhar par,
purjor to humne abhi lagaya hi nahi
ki chahuore mach gayi hai khalbali,

dag bharna to abhi hum bas sikh rahe hai,
abhi to himalaye ki chadhaan baki hai!!


author :VISHWA RANJAN

No comments:

Post a Comment